Intishaar
kabhi jumud kabhi sirf intishaar sa hai
jahan ko apni tabahi ka intizar sa hai
manu ki machhli na kashti-e-nuh aur ye faza
ki qatre qatre mein tufan be-qarar sa hai
main kis ko apne gareban ka chaak dikhlaun
ki aaj daman-e-yazdan bhi tar tar sa hai
saja-sanwar ke jis ko hazar naz kiye
usi pe KHaliq-e-kaunain sharmsar sa hai
tamam jism hai bedar fikr KHwabida
dimagh pichhle zamane ki yaadgar sa hai
sab apne panw pe rakh rakh ke panw chalte hain
KHud apne dosh pe har aadmi sawar sa hai
jise pukariye milta hai ek khanDar se jawab
jise bhi dekhiye mazi ka ishtihaar sa hai
hui to kaise bayaban mein aa ke sham hui
ki jo mazar yahan hai mera mazar sa hai
koi to sud chukae koi to zimma le
us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai
(1332) Peoples Rate This