Ek Lamha
jab bhi chum leta hun un hasin aankhon ko
sau charagh andhere mein jhilmilane lagte hain
KHushk KHushk honTon mein jaise dil khinch aata hai
dil mein kitne aaine thartharane lagte hain
phul kya shagufe kya chand kya sitare kya
sab raqib qadmon par sar jhukane lagte hain
zehn jag uThta hai ruh jag uThti hai
naqsh aadmiyat ke jagmagane lagte hain
lau nikalne lagti hai mandiron ke sine se
dewta fazaon mein muskurane lagte hain
raqs karne lagti hain muraten ajanta ki
muddaton ke lab-basta ghaar gane lagte hain
phul khilne lagte hain ujDe ujDe gulshan mein
tishna tishna giti par abr chhane lagte hain
lamha bhar ko ye duniya zulm chhoD deti hai
lamha bhar ko sab patthar muskurane lagte hain
(1398) Peoples Rate This