Dusra Ban-bas
ram ban-bas se jab lauT ke ghar mein aae
yaad jangal bahut aaya jo nagar mein aae
raqs-e-diwangi aangan mein jo dekha hoga
chhe december ko shri ram ne socha hoga
itne diwane kahan se mere ghar mein aae
jagmagate the jahan ram ke qadmon ke nishan
pyar ki kahkashan leti thi angDai jahan
moD nafrat ke usi rahguzar mein aae
dharm kya un ka tha, kya zat thi, ye jaanta kaun
ghar na jalta to unhen raat mein pahchanta kaun
ghar jalane ko mera log jo ghar mein aae
shakahaari the mere dost tumhaare KHanjar
tum ne babar ki taraf phenke the sare patthar
hai mere sar ki KHata, zaKHm jo sar mein aae
panw sarju mein abhi ram ne dhoe bhi na the
ki nazar aae wahan KHun ke gahre dhabbe
panw dhoe bina sarju ke kinare se uThe
ram ye kahte hue apne dware se uThe
rajdhani ki faza aai nahin ras mujhe
chhe december ko mila dusra ban-bas mujhe
(888) Peoples Rate This