Doshiza Malan
lo pau phaTi wo chhup gai taron ki anjuman
lo jam-e-mahr se wo chhalakne lagi kiran
khichne laga nigah mein fitrat ka bankpan
jalwe zamin pe barse zamin ban gai dulhan
gunje tarane subh ka ek shor ho gaya
aalam mai-e-baqa mein sharabor ho gaya
phuli shafaq faza mein hina tilmila gai
ek mauj-e-rang kanp ke aalam pe chha gai
kul chandni simaT ke gulon mein sama gai
zarre bane nujum zamin jagmaga gai
chhoDa sahar ne tirgi-e-shab ko kaT ke
uDne lagi hawa mein kiran os chaT ke
machli jabin-e-sharq pe is tarah mauj-e-nur
lahra ke tairne lagi aalam mein barq-e-tur
uDne lagi shamim chhalakne laga surur
khilne lage shagufe chahakne lage tuyur
jhonke chale hawa ke shajar jhumne lage
masti mein phul kanTon ka munh chumne lage
tham tham ke zau-fishan hua zarron pe aaftab
chhiDka hawa ne sabza-e-KHwabida par gulab
murjhai pattiyon mein machalne laga shabab
larzish hui gulon ko barasne lagi sharab
rindan-e-mast aur bhi sarmast ho gae
tharra ke honT jam mein paiwast ho gae
doshiza ek KHush-qad o KHush-rang-o-KHub-ru
malan ki nur-dida gulistan ki aabru
mahka rahi hai phulon se daman-e-arzu
tifli liye hai god mein tufan-e-rang-o-bu
ranginiyon mein kheli gulon mein pali hui
nauras kali mein qaus-e-quzah hai Dhali hui
masti mein ruKH pe baal pareshan kiye hue
baadal mein sham-e-tur farozan kiye hue
har samt naqsh-e-pa se charaghan kiye hue
aanchal ko bar-e-gul se gulistan kiye hue
lahra rahi hai baad-e-sahar panw chum ke
phirti hai titari si ghazab jhum jhum ke
zulfon mein tab-e-sumbul-e-pechan liye hue
aariz mein shoKH rang-e-gulistan liye hue
aankhon mein ruh-e-baada-e-irfan liye hue
honTon mein aab-e-lal-e-badaKHshan liye hue
fitrat ne tol tol ke chashm-e-qubul mein
sara chaman nichoD diya ek phul mein
ai hur-e-bagh itni KHudi se na kaam le
uD kar shamim-e-gul kahin aanchal na tham le
kaliyon ka le payam sahar ka salam le
'kaifi' se husn-e-dost ka taza kalam le
shaer ka dil hai muft mein kyun dard-mand ho
ek gul idhar bhi nazm agar ye pasand ho
(1137) Peoples Rate This