Bahrupni
ek gardan pe saikDon chehre
aur har chehre par hazaron dagh
aur har dagh band darwaza
raushni in se aa nahin sakti
raushni in se ja nahin sakti
tang sina hai hauz masjid ka
dil wo duna pujariyon ke baad
chaTte rahte hain jise kutte
kutte duna jo chaT lete hain
dewtaon ko kaT lete hain
jaane kis kokh ne jana is ko
jaane kis sehn mein jawan hui
jaane kis des se chali kam-baKHt
waise ye har zaban bolti hai
zaKHm khiDki ki tarah kholti hai
aur kahti hai jhank kar dil mein
tera mazhab, tera azim KHuda
teri tahzib ke hasin sanam
sab ko KHatre ne aaj ghera hai
baad un ke jahan andhera hai
sard ho jata hai lahu mera
band ho jati hain khuli aankhen
aisa lagta hai jaise duniya mein
sabhi dushman hain koi dost nahin
mujh ko zinda nigal rahi hai zamin
aisa lagta hai rakshas koi
ek gagar kamar mein laTka kar
aasman par chaDhega aaKHir-e-shab
nur sara nichoD laega
mere tare bhi toD laega
ye jo dharti ka phaT gaya sina
aur bahar nikal paDe hain julus
mujh se kahte hain tum hamare ho
main agar in ka hun to main kya hun
main kisi ka nahin hun apna hun
mujh ko tanhai ne diya hai janam
mera sab kuchh akele-pan se hai
kaun puchhega mujh ko mele mein
sath jis din qadam baDhaunga
chaal main apni bhul jaunga
ye aur aise hi chand aur sawal
DhunDne par bhi aaj tak mujh ko
jin ke man bap ka mila na suragh
zehn mein ye unDel deti hai
mujh ko muTThi mein bhench leti hai
chahta hun ki qatl kar dun ise
war lekin jab is pe karta hun
mere sine pe zaKHm ubharte hain
mere mathe se KHun Tapakta hai
jaane kya mera is ka rishta hai
aandhiyon mein azan di main ne
sankh phunka andheri raaton mein
ghar ke bahar salib laTkai
ek ek dar se us ko Thukraya
shahr se dur ja ke phenk aaya
aur elan kar diya ki uTho
barf si jam gai hai sinon mein
garm boson se us ko pighla do
kar lo jo bhi gunah wo kam hai
aaj ki raat jashn-e-adam hai
ye meri aastin se nikli
rakh diya dauD ke charagh pe hath
mal diya phir andhera chehre par
honT se dil ki baat lauT gai
dar tak aa ke baraat lauT gai
us ne mujh ko alag bula ke kaha
aaj ki zindagi ka nam hai KHauf
KHauf hi wo zamin hai jis mein
firqe ugte hain firqe palte hain
dhaare sagar se kaT ke chalte hain
KHauf jab tak dilon mein baqi hai
sirf chehra badalte rahna hai
sirf lahja badalte rahna hai
koi mujh ko miTa nahin sakta
jashn-e-adam mana nahin sakta
(1045) Peoples Rate This