Aurat
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
qalb-e-mahaul mein larzan sharar-e-jang hain aaj
hausle waqt ke aur zist ke yak-rang hain aaj
aabginon mein tapan walwala-e-sang hain aaj
husn aur ishq ham-awaz o ham-ahang hain aaj
jis mein jalta hun usi aag mein jalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
tere qadmon mein hai firdaus-e-tamaddun ki bahaar
teri nazron pe hai tahzib o taraqqi ka madar
teri aaghosh hai gahwara-e-nafs-o-kirdar
ta-ba-kai gird tere wahm o tayyun ka hisar
kaund kar majlis-e-KHalwat se nikalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
tu ki be-jaan khilaunon se bahal jati hai
tapti sanson ki hararat se pighal jati hai
panw jis rah mein rakhti hai phisal jati hai
ban ke simab har ek zarf mein Dhal jati hai
zist ke aahani sanche mein bhi Dhalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
zindagi jehd mein hai sabr ke qabu mein nahin
nabz-e-hasti ka lahu kanpte aansu mein nahin
uDne khulne mein hai nikhat KHam-e-gesu mein nahin
jannat ek aur hai jo mard ke pahlu mein nahin
us ki aazad rawish par bhi machalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
goshe goshe mein sulagti hai chita tere liye
farz ka bhes badalti hai qaza tere liye
qahr hai teri har ek narm ada tere liye
zahr hi zahr hai duniya ki hawa tere liye
rut badal Dal agar phulna phalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
qadr ab tak teri tariKH ne jaani hi nahin
tujh mein shoale bhi hain bas ashk-fishani hi nahin
tu haqiqat bhi hai dilchasp kahani hi nahin
teri hasti bhi hai ek chiz jawani hi nahin
apni tariKH ka unwan badalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
toD kar rasm ka but band-e-qadamat se nikal
zof-e-ishrat se nikal wahm-e-nazakat se nikal
nafs ke khinche hue halqa-e-azmat se nikal
qaid ban jae mohabbat to mohabbat se nikal
rah ka KHar hi kya gul bhi kuchalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
toD ye azm-shikan daghdagha-e-pand bhi toD
teri KHatir hai jo zanjir wo saugand bhi toD
tauq ye bhi hai zamurrad ka gulu-band bhi toD
toD paimana-e-mardan-e-KHirad-mand bhi toD
ban ke tufan chhalakna hai ubalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
tu falatun o arastu hai tu zahra parwin
tere qabze mein hai gardun teri Thokar mein zamin
han uTha jald uTha pa-e-muqaddar se jabin
main bhi rukne ka nahin waqt bhi rukne ka nahin
laDkhaDaegi kahan tak ki sambhalna hai tujhe
uTh meri jaan mere sath hi chalna hai tujhe
(2369) Peoples Rate This