Lai Phir Ek Laghzish-e-mastana Tere Shahr Mein
lai phir ek laghzish-e-mastana tere shahr mein
phir banengi masjiden mai-KHana tere shahr mein
aaj phir TuTengi tere ghar ki nazuk khiDkiyan
aaj phir dekha gaya diwana tere shahr mein
jurm hai teri gali se sar jhuka kar lauTna
kufr hai pathraw se ghabrana tere shahr mein
shah-name likkhe hain khanDaraat ki har inT par
har jagah hai dafn ek afsana tere shahr mein
kuchh kanizen jo harim-e-naz mein hain baryab
mangti hain jaan o dil nazrana tere shahr mein
nangi saDkon par bhaTak kar dekh jab marti hai raat
rengta hai har taraf virana tere shahr mein
(910) Peoples Rate This