Salam Us Par Agar Aisa Koi Fankar Ho Jae
salam us par agar aisa koi fankar ho jae
siyahi KHun ban jae qalam talwar ho jae
zamane se kaho kuchh saiqa-raftar ho jae
hamare sath chalne ke liye tayyar ho jae
zamane ko tamanna hai tera didar karne ki
mujhe ye fikr hai mujh ko mera didar ho jae
wo zulfen sanp hain be-shak agar zanjir ban jaen
mohabbat zahr hai be-shak agar aazar ho jae
mohabbat se tumhein sarkar kahte hain wagarna hum
nigahen Dal den jis par wahi sarkar ho jae
(883) Peoples Rate This