Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bf1267b222d0467543761b656d8d98ba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KuTiya Mein Kaun Aaega Is Tirgi Ke Sath - Kaif Bhopali Poetry In English - Darsaal

KuTiya Mein Kaun Aaega Is Tirgi Ke Sath

kuTiya mein kaun aaega is tirgi ke sath

ab ye kiwaD band karo KHamushi ke sath

saya hai kam khajur ke unche daraKHt ka

ummid bandhiye na baDe aadmi ke sath

chalte hain bach ke shaiKH o barhaman ke sae se

apna yahi amal hai bure aadmi ke sath

shaistagan-e-shahr mujhe KHwah kuchh kahen

saDkon ka husn hai meri aawargi ke sath

shair hikayaten na suna wasl o ishq ki

itna baDa mazaq na kar shairi ke sath

likhta hai gham ki baat masarrat ke mood mein

maKHsus hai ye tarz faqat 'kaif' hi ke sath

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KuTiya Mein Kaun Aaega Is Tirgi Ke Sath In English By Famous Poet Kaif Bhopali. KuTiya Mein Kaun Aaega Is Tirgi Ke Sath is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem KuTiya Mein Kaun Aaega Is Tirgi Ke Sath for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download KuTiya Mein Kaun Aaega Is Tirgi Ke Sath in PDF.