Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ce834fbea5707bc09dacfae2a44f8913, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gardish-e-arz-o-samawat Ne Jine Na Diya - Kaif Bhopali Poetry In English - Darsaal

Gardish-e-arz-o-samawat Ne Jine Na Diya

gardish-e-arz-o-samawat ne jine na diya

kaT gaya din to hamein raat ne jine na diya

kuchh mohabbat ko na tha chain se rakhna manzur

aur kuchh un ki inayat ne jine na diya

hadsa hai ki tere sar pe na ilzam aaya

waqia hai ki teri zat ne jine na diya

'kaif' ke bhulne wale ko KHabar ho ki use

sadma-e-tark-e-mulaqat ne jine na diya

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardish-e-arz-o-samawat Ne Jine Na Diya In English By Famous Poet Kaif Bhopali. Gardish-e-arz-o-samawat Ne Jine Na Diya is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem Gardish-e-arz-o-samawat Ne Jine Na Diya for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download Gardish-e-arz-o-samawat Ne Jine Na Diya in PDF.