Dosto Ab Tum Na Dekhoge Ye Din
dosto ab tum na dekhoge ye din
KHatm hain hum par sitam-araiyan
chun liya ek ek kanTa rah ka
ho mubarak ye barahna-paiyan
ku-ba-ku mere junun ki azmaten
us ki mahfil mein meri ruswaiyan
azmat-e-suqraat-o-isa ki qasam
dar ke sae mein hain daraiyan
chaaragar marham bharega tu kahan
ruh tak hain zaKHm ki gahraiyan
'kaif' ko dagh-e-jigar baKHshe gae
allah allah ye karam-farmaiyan
(842) Peoples Rate This