Dar-o-diwar Pe Shaklen Si Banane Aai
dar-o-diwar pe shaklen si banane aai
phir ye barish meri tanhai churane aai
zindagi bap ki manind saza deti hai
rahm-dil man ki tarah maut bachane aai
aaj kal phir dil-e-barbaad ki baaten hain wahi
hum to samjhe the ki kuchh aql Thikane aai
dil mein aahaT si hui ruh mein dastak gunji
kis ki KHush-bu ye mujhe mere sirhane aai
main ne jab pahle-pahal apna watan chhoDa tha
dur tak mujh ko ek aawaz bulane aai
teri manind teri yaad bhi zalim nikli
jab bhi aai hai mera dil hi dukhane aai
(794) Peoples Rate This