Phul Hanse Aur Shabnam Roi Aai Saba Muskai Dhup
phul hanse aur shabnam roi aai saba muskai dhup
yaad ka suraj zehn mein chamka palkon par lahrai dhup
ganw ki dharti banjh hui hai panghaT suna suna hai
pipal ke patton mein chhup kar DhunDhti hai tanhai dhup
koi kiran bhi kaam na aai jiwan ke andhiyare mein
mere ghar ke bahar lekin leti rahi angDai dhup
hum to sudh-budh kho baiThe the hasti ke virane mein
jaane kab zulfen lahrain jaane kab sanwlai dhup
(782) Peoples Rate This