Agarche Hadse Guzre Hain Paniyon Ki Tarah
agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah
KHamosh rah gae hum log sahilon ki tarah
kisi ke samne main kis liye zaban kholun
mili hai apni ana mujh ko dushmanon ki tarah
tere baghair nazar aae hain mujhe aksar
makan ke dar-o-diwar qatilon ki tarah
na jaane kaun si manzil ko chal diye patte
bhaTak rahi hain hawaen musafiron ki tarah
hamin ne khol ke lab ruh phunk di warna
tamam harf the be-jaan pattharon ki tarah
main ro raha tha shab-e-gham ki zulmaton se bahut
KHuda ka shukr jale zaKHm mishalon ki tarah
yahi to 'kaif' hasad hai ki dil bhi yaron ke
siyah ho gae likkhe hue KHaton ki tarah
(690) Peoples Rate This