Suraj Aankhen Khol Raha Hai Sukhe Hue DaraKHton Mein
suraj aankhen khol raha hai sukhe hue daraKHton mein
sae rakh bane jate hain jite hue daraKHton mein
aaj kuchh aise shoale bhaDke barish ke har qatre se
dhup panahen mang rahi hai bhige hue daraKHton mein
KHamoshi bhi KHauf-zada hai aasebi aawazon se
sannaTe bhi kanp rahe hain sahme hue daraKHton mein
tanhai ki dulhan apni mang sajae baiThi hai
virani aabaad hui hai ujDe hue daraKHton mein
aaj to sare bagh mein KHwab-e-marg ka nashsha tari hai
lekin koi jag raha hai soe hue daraKHton mein
kaun musibat ke aam mein sath kisi ka deta hai
chand parinde chiKH rahe hain girte hue daraKHton mein
(768) Peoples Rate This