Sare Din Dasht-e-tajassus Mein BhaTak Kar So Gaya
sare din dasht-e-tajassus mein bhaTak kar so gaya
sham ki aaghosh mein suraj bhi thak kar so gaya
aaKHir-e-shab main bhi kha kar KHwab-awar goliyan
chand lamhe nashsha-e-gham se bahak kar so gaya
ye sukut-e-sham ye hangama-e-zehn-e-bashar
ruh hai bedar lekin jism thak kar so gaya
aaKHir is daur-e-pur-ashob ka har aadmi
KHwab-e-mustaqbil ke jangal mein bhaTak kar so gaya
chand din gulshan mein naghmat-e-masarrat chheD kar
shaKH-e-gham par ruh ka panchhi chahak kar so gaya
aaKHirash sare chaman ko de ke husn-e-zindagi
maut ke bistar pe har ghuncha mahak kar so gaya
zindagi bhar ab andheri raat mein hai jagna
ab to qismat ka sitara bhi chamak kar so gaya
paikar-e-alfaz mein ek aag dahkata hua
kaghzi sahra mein ek shoala bhaDak kar so gaya
'kaif' yun aaghosh-e-fan mein zehn ko nind aa gai
jaise man ki god mein bachcha sisak kar so gaya
(829) Peoples Rate This