Sard Jazbe Bujhe Bujhe Chehre
sard jazbe bujhe bujhe chehre
jism zinda hain mar gae chehre
aaj ke daur ki alamat hain
falsafi zehn sochte chehre
sail-e-gham se bhi saf ho na sake
gard-alud malgaje chehre
yaKH-zada soch ke darichon mein
kis ne dekhe hain kanpte chehre
ek baras bhi abhi nahin guzra
kitni jaldi badal gae chehre
main ne aksar KHud apne chehre par
dusron ke saja liye chehre
wo to nikle bahut hi bad-surat
'kaif' dekhe the jo saje chehre
(702) Peoples Rate This