Nikli Jo Aaj Tak Na Kisi Ki Zaban Se
nikli jo aaj tak na kisi ki zaban se
Takra rahi hai baat wahi mere kan se
sota raha main KHauf ki chadar lapeT kar
aaseb chiKHte rahe KHali makan se
akasr main ek zahr bujhe tir ki tarah
nikla hun hadsat ki tirchhi kaman se
phaila hua hai hadd-e-nazar tak sukut-e-marg
aawaz de raha hai koi aasaman se
tanhaiyon ko saunp ke tarikiyon ka zahr
raaton ko bhag aae hum apne makan se
mumkin hai KHub khul ke ho guft-o-shunid aaj
wo bhi KHafa hai hum bhi hain kuchh bad-guman se
ai 'kaif' jin ko bughz nai shaeri se hai
wo bhi tere kalam ko paDhte hain dhyan se
(683) Peoples Rate This