Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4bde92afc540cb8181b2496e92d620b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Jaane Kitne Hi Rangon Mein Dubi Hai - Kaif Ahmed Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Kya Jaane Kitne Hi Rangon Mein Dubi Hai

kya jaane kitne hi rangon mein Dubi hai

rang badalti duniya mein jo yak-rangi hai

manzar manzar Dhalta jata hai pila-pan

chehra chehra sabz udasi phail rahi hai

pili sansen bhuri aankhen surKH nigahen

unnabi ehsas tabiat tariKHi hai

dekh gulabi sannaTon mein rahne wale

aawazon ki KHamoshi kitni kali hai

aaj safedi bhi kala malbus pahan kar

apni chamakti rangat ka matam karti hai

sari KHabron mein jaise ek zahr bhara hai

aaj aKHbaron ki har surKHi nili hai

'kaif' kahan tak tum KHud ko be-dagh rakhkhoge

ab to sari duniya ke munh par syahi hai

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaane Kitne Hi Rangon Mein Dubi Hai In English By Famous Poet Kaif Ahmed Siddiqui. Kya Jaane Kitne Hi Rangon Mein Dubi Hai is written by Kaif Ahmed Siddiqui. Read famous Poem Kya Jaane Kitne Hi Rangon Mein Dubi Hai for youth and Student by Kaif Ahmed Siddiqui. Free Download Kya Jaane Kitne Hi Rangon Mein Dubi Hai in PDF.