Hum Ek Dhalti Hui Dhup Ke Taaqub Mein
hum ek Dhalti hui dhup ke taaqub mein
hain tez-gam sae sae jate hain
chaman mein shiddat-e-dard-e-numud se ghunche
taDap rahe hain magar muskurae jate hain
main wo KHizan ka barahana-badan shajar hun jise
libas-e-zaKHm-e-bahaaran pahnae jate hain
shafaq ki jhil mein jab bhi hai Dubta suraj
to pas dhup hi jati na sae jate hain
ye zindagi wo taDapti ghazal hai 'kaif' jise
har ek saz-e-hawadis pe gae jate hain
(693) Peoples Rate This