Hum Aaj Kuchh Hasin Sarabon Mein Kho Gae
hum aaj kuchh hasin sarabon mein kho gae
aankhen khulin to jagte KHwabon mein kho gae
hum safha-e-hayat se jab be-nishan hue
lafzon ki ruh ban ke kitabon mein kho gae
aaina-e-bahaar ke kuchh aks-e-muzmahil
KHushbu ka rang pa ke gulabon mein kho gae
dar-asl barshgal ke tum aaftab the
barsat jab hui to sahabon mein kho gae
nikle the jo bhi aaj talash-e-sawab mein
wo zindagi ke saKHt azabon mein kho gae
dil ko thi ek shahr-e-tamanna ki justuju
lekin hum aarzu ke KHarabon mein kho gae
jab masala hayat ka kuchh hal na ho saka
hum 'kaif' falsafe ki kitabon mein kho gae
(656) Peoples Rate This