Duniya Mein Kuchh Apne Hain Kuchh Begane Alfaz
duniya mein kuchh apne hain kuchh begane alfaz
kis ko itni fursat hai jo pahchane alfaz
reg-e-alamat mein bhi jal kar pa na sake mafhum
sahra-e-mani mein bhi bhaTke anjaane alfaz
dasht-e-azal se dasht-e-abad tak chhan chuka mein KHak
aur kahan le jaenge ab bhaTkane alfaz
be-mani mahaul mein rah kar zehn hua mauf
mujh ko bhi pagal kar denge diwane alfaz
aksar aadhi raat mein le kar kuchh pathrile KHwab
shisha-e-zehn se aa jate hain Takrane alfaz
sher-o-suKHan ke mai-KHane ka main hun ek mai-KHwar
mere liye baada hai taKHayyul paimane alfaz
'kaif' kabhi ek sher mein Dhalna hota hai dushwar
aur kabhi KHud ban jate hain afsane alfaz
(907) Peoples Rate This