Mashwara
kisi ki yaad satati hai raat din tum ko
kisi ke pyar se majbur ho gai ho tum
tumhaara dard mujhe bhi udas rakhta hai
qarib aa ke bahut dur ho gai ho tum
tumhaari aanhken sada sogwar rahti hain
tumhaare honT taraste hain muskurane ko
tumhaari ruh ko tanhaiyan ata kar ke
ye sochti ho ki kya mil gaya zamane ko
gila karo na zamane ki sard-mehri ka
ki is KHata mein zamane ka kuchh qusur nahin
tumhaare dil ne use muntaKHab kiya ki jise
tumhaare gham ko samajhne ka bhi shuur nahin
tum us ki yaad bhula do ki bewafa hai wo
har ek dil nahin hota tumhaare dil ki tarah
tum apne pyar ko ruswa karo na ro ro kar
tumhaara pyar muqaddas hai bible ki tarah
ab us ke waste KHud ko na yun tabah karo
ab imtihan ki tamanna se faeda kya hai
wo aasman ki jise tum na chhu sakogi kabhi
us aasman ki tamanna se faeda kya hai
(771) Peoples Rate This