Fareb
har ek sham mujhe yun KHayal aata hai
ki jaise TaT ka maila phaTa hua parda
tumhaare hath ki jumbish se kanp jaega
ki jaise tum abhi daftar se lauT aaoge
mujhe to yaad nahin kuchh tumhaare sar ki qasam
magar paDos ki laDki bata rahi thi ki main
ab apni mang mein afshan nahin sajati hun
tawe pe roTiyan akasr jalai hain main ne
shakar ke badle namak chae mein milati hun
wo kah rahi thi ki nangi kalaiyan meri
tamam umr yunhi chuDiyon ko tarsengi
ghamon ki dhup mein jalte hue is aangan par
masarraton ki ghaTaen kabhi na barsengi
wo kah rahi thi ki tum ab kabhi na aaoge
gali ke moD pe lekin har ek sham mujhe
tumhaare qadmon ki aahaT sunai deti hai
har ek sham mujhe yun KHayal aata hai
ki jaise tum abhi daftar se lauT aaoge
(755) Peoples Rate This