Andesha
baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajh udasi ka sabab puchhenge
ye bhi puchhenge ki tum itni pareshan kyun ho
jagmagate hue lamhon se gurezan kyun ho
ungliyan uTThengi sukhe hue baalon ki taraf
ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf
chuDiyon par bhi kai tanz kiye jaenge
kanpte hathon pe bhi fiqre kase jaenge
phir kahenge ki hansi mein bhi KHafa hoti hain
ab to 'ruhi' ki namazen bhi qaza hoti hain
log zalim hain har ek baat ka tana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge
in ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre ke tassur se samajh jaenge
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se
mere bare mein koi baat na karna un se
baat niklegi to phir dur talak jaegi
(721) Peoples Rate This