Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cbef2e325ca5cb34e29b661aa26d7711, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaghaz - Kafeel Aazar Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Aaghaz

kin KHayalat mein yun rahti ho khoi khoi

chae ka pani patili mein ubal jata hai

rakh ko hath lagati ho to jal jata hai

ek bhi kaam saliqe se nahin ho pata

ek bhi baat mohabbat se nahin kahti ho

apni har ek saheli se KHafa rahti ho

raat bhar nawilen paDhti ho na jaane kis ki

ek jampar nahin si pai ho kitne din se

bhai ka hath bhi ghusse se jhaTak deti ho

mez par yun hi kitabon ko paTak deti ho

kin KHayalat mein yun rahti ho khoi khoi

(643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaghaz In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Aaghaz is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Aaghaz for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Aaghaz in PDF.