Ye Hadisa To Hua Hi Nahin Hai Tere Baad
ye hadisa to hua hi nahin hai tere baad
ghazal kisi ko kaha hi nahin hai tere baad
hai pur-sukun samundar kuchh is tarah dil ka
ki jaise chand khila hi nahin hai tere baad
mahakti raat se dil se qalam se kaghaz se
kisi se rabt rakha hi nahin hai tere baad
KHayal KHwab fasane kahaniyan thin magar
wo KHat tujhe bhi likha hi nahin hai tere baad
kahan se mahkegi honTon pe lams ki KHushbu
kisi ko main ne chhua hi nahin hai tere baad
charagh palkon pe 'azar' kisi ki yaadon ka
qasam KHuda ki jala hi nahin hai tere baad
(757) Peoples Rate This