Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1bc0ec1295c152154089974823763f22, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uski Aankhon Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai - Kafeel Aazar Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Uski Aankhon Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai

us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna paDe

aise jine se to mar jaane ko ji chahta hai

ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin

apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai

qarz TuTe hue KHwabon ka ada ho jae

zat mein apni bikhar jaane ko ji chahta hai

apni palkon pe sajae hue yaadon ke diye

us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai

ek ujDe hue viran khanDar mein 'azar'

na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai

(512) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Aankhon Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Uski Aankhon Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Uski Aankhon Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Uski Aankhon Mein Utar Jaane Ko Ji Chahta Hai in PDF.