Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9be11587283b1319af214a9ea3751816, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jate Jate Ye Nishani De Gaya - Kafeel Aazar Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Jate Jate Ye Nishani De Gaya

jate jate ye nishani de gaya

wo meri aankhon mein pani de gaya

jagte lamhon ki chadar oDh kar

koi KHwabon ko jawani de gaya

mere hathon se khilaune chhin kar

mujh ko zaKHmon ki kahani de gaya

hal na tha mushkil ka koi us ke pas

sirf wade aasmani de gaya

KHud se sharminda mujhe hona paDa

aaina jab mera sani de gaya

mujh ko 'azar' ek fareb-e-arzu

KHub-surat zindagani de gaya

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jate Jate Ye Nishani De Gaya In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Jate Jate Ye Nishani De Gaya is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Jate Jate Ye Nishani De Gaya for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Jate Jate Ye Nishani De Gaya in PDF.