Gum-shuda Tanhaiyon Ki Raaz-dan Achchhi To Ho
gum-shuda tanhaiyon ki raaz-dan achchhi to ho
main yahan achchha nahin hun tum wahan achchhi to ho
waqt-e-ruKHsat bhige bhige in darichon ki qasam
nur-paikar chand-surat gulistan achchhi to ho
thartharaate kanpte honTon ko aaya kuchh sukun
ai zaban rakhte hue bhi be-zaban achchhi to ho
dhup ne jab aarzu ke jism ko nahla diya
ban gai thin tum wafa ka saeban achchhi to ho
raat bhar chille wazife wo tahajjud aur fajr
mil gaya ab to sila ai meri man achchhi to ho
is zamane mein jab apnon ka bharosa ho fareb
sochti rahti ho main jaun kahan achchhi to ho
jhilmilate hain sitare raat ko palkon pe jab
chand se sunti ho meri dastan achchhi to ho
wo tumhaari ek saheli ban gai thi jo dulhan
us se KHat likh kar kabhi puchha nihan achchhi to ho
jab kahin jao to likh dena mujhe apna pata
puchhne warna main jaunga kahan achchhi to ho
tum sada achchhi raho 'azar' ki hai bas ye dua
fasle sadiyon ke hain ab darmiyan achchhi to ho
(573) Peoples Rate This