GhaTaon Ki Udasi Pi Raha Hun
ghaTaon ki udasi pi raha hun
main ek gahra samundar ban gaya hun
teri yaadon ke angaron ko aksar
tasawwur ke labon se chumta hun
koi pahchanne wala nahin hai
bhare bazar mein tanha khaDa hun
mera qad kitna uncha ho gaya hai
falak ki wusaton ko napta hun
wo yun mujh ko bhulana chahte hain
ki jaise main bhi koi hadisa hun
badalte mausamon ki Diary se
tere bare mein aksar puchhta hun
mere kamre mein yaaden so rahi hain
main saDkon par bhaTakta phir raha hun
ubharte Dubte suraj ka manzar
bason ki khiDkiyon se dekhta hun
kisi ki yaad ke patton ko 'azar'
hawaon se bacha kar rakh raha hun
(500) Peoples Rate This