Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1dc9810a8196ad5285dddb291d62d270, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj Maine Use Nazdik Se Ja Dekha Hai - Kafeel Aazar Amrohvi Poetry In English - Darsaal

Aaj Maine Use Nazdik Se Ja Dekha Hai

aaj main ne use nazdik se ja dekha hai

wo daricha to mere qad se bahut uncha hai

apne kamre ko andheron se bhara paya hai

tere bare mein kabhi ghaur se jab socha hai

har tamanna ko riwayat ki tarah toDa hai

tab kahin ja ke zamana mujhe ras aaya hai

tum ko shikwa hai mere ahd-e-mohabbat se magar

tum ne pani pe koi lafz kabhi likkha hai

aisa bichhDa ki mila hi nahin phir us ka pata

hae wo shaKHs jo aksar mujhe yaad aata hai

koi us shaKHs ko apna nahin kahta 'azar'

apne ghar mein bhi wo ghairon ki tarah rahta hai

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Maine Use Nazdik Se Ja Dekha Hai In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Aaj Maine Use Nazdik Se Ja Dekha Hai is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Aaj Maine Use Nazdik Se Ja Dekha Hai for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Aaj Maine Use Nazdik Se Ja Dekha Hai in PDF.