Wo KHwab Talabgar-e-tamasha Bhi Nahin Hai
wo KHwab talabgar-e-tamasha bhi nahin hai
kahte hain kisi ne use dekha bhi nahin hai
pahli si wo KHushbu-e-tamanna bhi nahin hai
is bar koi KHauf hawa ka bhi nahin hai
us chand ki angDai se raushan hain dar o baam
jo parda-e-shab-rang pe ubhra bhi nahin hai
kahte hain ki uThne ko hai ab rasm-e-mohabbat
aur is ke siwa koi tamasha bhi nahin hai
is shahr ki pahchan thin wo phul si aankhen
ab yun hai ki un aankhon ka charcha bhi nahin hai
kyun baam pe aawazon ka dhammal hai 'ajmal'
is ghar pe to aaseb ka saya bhi nahin hai
(684) Peoples Rate This