Sharar-e-ishq Sadiyon Ka Safar Karta Hua
sharar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua
bujha mujh mein mujhi ko be-KHabar karta hua
rumuz-e-KHak bab-e-mushtahar karta hua
yunhi aabaad sahra-e-hunar karta hua
zamin-e-justuju gard-e-safar karta hua
ye mujh mein kaun hai mujh se mafar karta hua
abhi tak lahlahata hai wo sabza aankh mein
wo mauj-e-gul ko meyar-e-nazar karta hua
harim-e-shab mein KHun rota hua mah-e-tamam
nigar-e-subh qissa muKHtasar karta hua
meri miTTi ko le pahuncha dayar-e-yar tak
ghubar-e-jaan tawaf-e-chashm-e-tar karta hua
takabbur le raha hai imtihan phir azm ka
sitaron ko mere zer-e-asar karta hua
falak-bosi ki KHwahish tair-e-wahshat ko thi
uDa hai apni miTTi darguzar karta hua
(733) Peoples Rate This