Nai Zamin Nae Aasman Sanwarte Rahen
nai zamin nae aasman sanwarte rahen
yahi hai shart to phir harf harf marte rahen
yahi saza hai ki lamhon ki baz-gasht ke baad
sadi sadi tere kuche mein bain karte rahen
wo inqilab lakiron se jo ubhar na saka
kahan talak usi KHake mein rang bharte rahen
kuchh aur chahiye diwangi ko hadd-e-junun
kuchh aur arsa-e-mahshar ki hum guzarte rahen
koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi
koi bahana ki hum jaan nisar karte rahen
(703) Peoples Rate This