Kuchh Talluq Bhi Nahin Rasm-e-jahan Se Aage

kuchh talluq bhi nahin rasm-e-jahan se aage

us se rishta bhi raha wahm o guman se aage

le ke pahunchi hai kahan sim-badan ki KHwahish

kuchh ilaqa na raha sud-o-ziyan se aage

KHwab-zaron mein wo chehra hai numu ki surat

aur ek fasl ugi rishta-e-jaan se aage

kab talak apni hi sanson ka chukata rahun qarz

ai meri aankh koi KHwab dhuan se aage

shaKH-e-ehsas pe khilte rahe zaKHmon ke gulab

kis ne mahsus kiya shorish-e-jaan se aage

jab bhi bol uTThenge tanhai mein likkhe hue harf

phailte jaenge naqus o azan se aage

jis ki kirnon se ujala hai lahu mein 'ajmal'

jal raha hai wo diya kahkashan se aage

(922) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Talluq Bhi Nahin Rasm-e-jahan Se Aage In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Kuchh Talluq Bhi Nahin Rasm-e-jahan Se Aage is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Kuchh Talluq Bhi Nahin Rasm-e-jahan Se Aage for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Kuchh Talluq Bhi Nahin Rasm-e-jahan Se Aage in PDF.