Hawa Ki Zad Pe Charagh-e-shab-e-fasana Tha
hawa ki zad pe charagh-e-shab-e-fasana tha
magar hamein bhi usi se diya jalana tha
hamein bhi yaad na aai bahaar-e-ishwa-taraaz
use bhi hijr ka mausam bahut suhana tha
safar azab sahi dasht-e-gumrahi ka magar
kaTi tanab to KHema ujaD hi jaana tha
hamin ne raqs kiya naghma-e-fana par bhi
hamein hi palkon pe hijrat ka bar uThana tha
usi ki gunj hai tar-e-nafas mein ab ke miyan
sada-e-hu ko bhi warna kise jagana tha
hum aise KHak-nashinon ka zikr kya ki hamein
lahu ka qarz to har haal mein chukana tha
wo mere KHwab chura kar bhi KHush nahin 'ajmal'
wo ek KHwab lahu mein jo phail jaana tha
(708) Peoples Rate This