Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9cdfa661fcbec421c543b0691b540197, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main - Kabir Ajmal Poetry In English - Darsaal

Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main

bujhti ragon mein nur bikharta hua sa main

tufan-e-nang-e-mauj guzarta hua sa main

har shab ujalti hui bhigi ruton ke KHwab

aur misl-e-aks-e-KHwab bikharta hua sa main

mauj-e-talab mein tair gaya tha bas ek nam

phir yun hua ki ji uTha marta hua sa main

ek dhund si falak se utarti dikhai de

phir us mein aks aks sanwarta hua sa main

dast-e-dua uTha to uTha us ke hi huzur

lekin ye kya usi se mukarta hua sa main

ab ke hawa chale to bikhar jaun dur tak

lekin teri gali mein Thaharta hua sa main

main bujh gaya to kaun ujalega tera rup

zinda hun is KHayal mein marta hua sa main

'ajmal' wo nim-shab ki duaen kahan gain

ek shor-e-agahi hai bikharta hua sa main

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main in PDF.