Bajae Gul Mujhe Tohfa Diya Babulon Ka
bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka
main munharif to nahin tha tere usulon ka
izala kaise karega wo apni bhulon ka
ki jis ke KHun mein nashsha nahin usulon ka
nafas ka qarz chukana bhi koi khel nahin
wo jaan jaega anjam apni bhulon ka
nai talash ke ye mir-e-karwan honge
banate jao yun hi silsila bagulon ka
ye aaDi tirchhi lakiren badal nahin saktin
hazar wasta dete raho usulon ka
tamam falsafa-e-kaenat khul jate
kahan se TuT gaya silsila nuzulon ka
inhin se mujh ko mila azm-e-zindagi 'ajmal'
main jaanta hun ki kya hai maqam phulon ka
(677) Peoples Rate This