Apni Ana Se Bar-sar-e-paikar Main Hi Tha
apni ana se bar-sar-e-paikar main hi tha
sach bolne ki dhun thi sar-e-dar main hi tha
sazish rachi gai thi kuchh aisi mere KHilaf
har anjuman mein bais-e-azar main hi tha
sau kartabon se zaKHm lagae gae mujhe
shayad ki apne ahd ka shahkar main hi tha
lamhon ki baz-gasht mein sadiyon ki gunj thi
aur aagahi ka mujrim-e-izhaar main hi tha
tahzib ki ragon se Tapakte lahu mein tar
dahliz mein paDa hua aKHbar main hi tha
'ajmal' safar mein sath rahin yun saubaten
jaise ki har saza ka saza-war main hi tha
(730) Peoples Rate This