Kabhi Firaq Kabhi Lazzat-e-visal Mein Rakh
kabhi firaq kabhi lazzat-e-visal mein rakh
mujh e'tidal se aari ko e'tidal mein rakh
nacha raha hai mujhe ungliyon pe ishq tera
tamam umr isi raqs-e-be-misal mein rakh
dukhi ho dil to utarti hai shairi mujh par
tujhe ghazal ki qasam hai mujhe malal mein rakh
tu chahta hai agar kar-e-afatab karun
mera uruj meri saat-e-zawal mein rakh
tere baghair guzari hai zindagi main ne
tu is sitam ki talafi bhi mah-o-sal mein rakh
tu dil hai aur dhDakna teri ibaadat hai
so KHud ko jism se bahar bhi tu dhamal mein rakh
shikam se ho ke guzarte hain qaul-o-feal mere
mujh aise shaKHs ko nan-o-namak ke jal mein rakh
mere badan ko bhale is se aag lag jae
charagh-e-harf magar mere baal baal mein rakh
main is azab ke nashshe mein mubtala hun 'kabir'
parai aag uTha kar meri sifal mein rakh
(1320) Peoples Rate This