Jahan Sansen Nahin Chaltin Wahan Kya Chal Raha Hai
jahan sansen nahin chaltin wahan kya chal raha hai
bahisht-e-KHak mein ai raftagan kya chal raha hai
purane dukh nae kapDe pahan kar aa gae hain
ye apne shahr mein aazurdagan kya chal raha hai
ye jin ke ashk meri jaan ko aae hue hain
main un se puchh baiTha tha miyan kya chal raha hai
hamara bhuk ne munh bhar diya hai galiyon se
tumhaare bad-nasibon ke yahan kya chal raha hai
hain ashkon ke nishane par musalsal dukh hamare
ye chaalen hum se andoh-e-jahan kya chal raha hai
nadamat se main apna munh chhupata phir raha hun
ye mere doston ke darmiyan kya chal raha hai
yahan har rose honTon ke gine jate hain Tanke
tumhaare shahr mein shoala-bayan kya chal raha hai
chala kar goliyan mujh par parindon ko batao
jahan pinjre nahin bante wahan kya chal raha hai
to phir qabu kiya hai hijr kis jadu se tum ne
udasi gar nahin afsurda-gan kya chal raha hai
hamare rahbaron ko jaan ke lale paDe hain
tumhaare rahbaron mein gumrahan kya chal raha hai
(856) Peoples Rate This