Ham-sae Se Talab Karun Pani Ke Baad Kya
ham-sae se talab karun pani ke baad kya
rahta hai hosh naql-e-makani ke baad kya
ye kaisi toD phoD hai shahr-e-wujud mein
aatank mach gaya hai jawani ke baad kya
pani ke panw kaTne pe tul gae ho tum
dariya mein bach rahega rawani ke baad kya
baaton ke sath munh se Tapakne laga hai KHun
mar jaunga main hijr-bayani ke baad kiya
un ko bataunga jinhen huron se ishq hai
dar-asl hoga aalam-e-fani ke baad kya
main dekhta hun aankh mein KHwabon ki mayyaten
tum dekhte ho ashk-fishani ke baad kya
sheron pe zulm karte hain jo jaante nahin
karna hai kaam misra-e-sani ke baad kya
kyun lafz lafz khodte ho sher ko 'kabir'
shair nikalna hai maani ke baad kya
(817) Peoples Rate This