BigaDta ZaKHm-e-hunar Aashkara Karna PaDa
bigaDta zaKHm-e-hunar aashkara karna paDa
hamein bhi dad ka marham gawara karna paDa
bahut hawas thi mujhe rizq-e-sher ki lekin
jo mil raha tha usi par guzara karna paDa
khaDi thi mere liye aansuon ki barish mein
so teri yaad se milna gawara karna paDa
main is se kam pe zamana murid kar leta
KHayal-e-ishq mein jitna tumhaara karna paDa
mila na ek bhi aansu durun-e-chashm mujhe
so munh chhupa ke dukhon se kinara karna paDa
jo KHwab nind se bhi chhup ke dekhta tha main
kisi ki aankh se us ka nazara karna paDa
nigah-e-yar ne kuchh aise aib DhunDh liye
tamam kar-e-mohabbat dobara karna paDa
ab us safar ki saubat ka kya kahen jis mein
qadam qadam pe hamein istiKHara karna paDa
sambhaali jati nahin raushni zamin se 'kabir'
supurd-e-KHak ye kaisa sitara karna paDa
(730) Peoples Rate This