Har Ek Gam Pe Ranj-e-safar UThate Hue
har ek gam pe ranj-e-safar uThate hue
main aa paDa hun yahan tujh se dur jate hue
ajib aag thi jis ne mujhe farogh diya
ek intizar mein rakkhe diye jalate hue
tawil raat se hota hai barsar-e-paikar
so chaak tez hua hai mujhe banate hue
ye tez-gami-e-sahra alag mizaj ki hai
jo mujh se bhag rahi hai qarib aate hue
hai ek shor-e-guzishta mere taaqub mein
main sun raha hun jise apne par aate hue
sharik-e-atish o aab-o-hawa o KHak rahe
mere anasir-e-tartib shakl pate hue
bahut qarib se guzri hai wo nawa-e-safed
mere hawas ka nila dhuan uDate hue
main imtizaj-e-qadim-o-jadid hun 'kaami'
so ism-e-asr hi paDhna mujhe bulate hue
(684) Peoples Rate This