Agar Main Sach Kahun To Sabr Hi Ki Aazmaish Hai
agar main sach kahun to sabr hi ki aazmaish hai
ye miTTi imtihan pyare ye pani aazmaish hai
nikal kar KHud se bahar bhagne se KHud mein aane tak
farar aaKHir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai
talash-e-zat mein hum ko kisi bazar-e-hasti mein
tera milna tera khona alag hi aazmaish hai
nabud o bud ke phaile hue is kar-KHane mein
uchhalti kudti duniya hamari aazmaish hai
mere dil ke dariche se uchak kar jhankti bahar
gulabi eDiyon wali anokhi aazmaish hai
ye tu jo KHud pe nafiz ho gaya hai sham ki surat
to jaani sham ki kab hai ye teri aazmaish hai
diye ke aur hawaon ke marasim khul nahin pate
nahin khulta ki in mein se ye kis ki aazmaish hai
(2209) Peoples Rate This