Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b70591adff3769d565f7c8a1ad41fb52, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo KHwab Dikhate Hai Sakar Nahin Karte - Jyoti Azad Khatri Poetry In English - Darsaal

Wo KHwab Dikhate Hai Sakar Nahin Karte

wo KHwab dikhate hai sakar nahin karte

ulfat se magar khul ke inkar nahin karte

bas baat koi un ko samjha de ye itni si

rishton mein kabhi koi bewpar nahin karte

dil us ne kiya chhalni be-rahmi se pesh aaya

dushman pe bhi hum apne yun war nahin karte

dekha hai mohabbat mein barbaad hue kitne

hum dil ko bachate hai bimar nahin karte

tufan koi aae is rah-e-mohabbat mein

is dil ko kabhi apne bezar nahin karte

hum achchhe bure jaise bhi samne hai sab ke

hum apni haqiqat se inkar nahin karte

mana ki hue zaKHmi ye qalb-o-jigar lekin

hum zaKHm chhupate hain aKHbar nahin karte

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo KHwab Dikhate Hai Sakar Nahin Karte In English By Famous Poet Jyoti Azad Khatri. Wo KHwab Dikhate Hai Sakar Nahin Karte is written by Jyoti Azad Khatri. Read famous Poem Wo KHwab Dikhate Hai Sakar Nahin Karte for youth and Student by Jyoti Azad Khatri. Free Download Wo KHwab Dikhate Hai Sakar Nahin Karte in PDF.