Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f199f20cb0aaac148e360dc85338fa33, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho - Jyoti Azad Khatri Poetry In English - Darsaal

Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho

tir nazron ke hum pe chalate raho

jhuTi ulfat sahi par jatate raho

is tarah pyar mujh se nibhate raho

dil mein KHushbu ke jaise basate raho

main KHafa hun kabhi tum KHafa ho kabhi

pyar ka silsila yun baDhate raho

main ne to likh diya nam dil pe tere

gar miTana ho mumkin miTate raho

aa na jae guman mujh mein jhuTha koi

tum haqiqat ka darpan dikhate raho

pattharon ko na ehsas hoga kabhi

raat din ashk chahe bahate raho

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho In English By Famous Poet Jyoti Azad Khatri. Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho is written by Jyoti Azad Khatri. Read famous Poem Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho for youth and Student by Jyoti Azad Khatri. Free Download Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho in PDF.