Wahi Josh-e-haq-shanasi Wahi Azm-burd-bari
wahi josh-e-haq-shanasi wahi azm-burd-bari
na badal saka zamana meri KHu-e-waza-dari
wahi mai-kada hai lekin nahin ab wo kaif-bari
gae hum mazaq le ke mera lutf-e-baada-KHwari
ho zaban jis ke munh mein wo na aae anjuman mein
kahin rakh na de sitam-gar yahi shart-e-raaz-dari
kabhi hanste hanste rona kabhi rote rote hansna
koi kya samajh sakega bhala maslahat hamari
main zamane bhar ke tane na KHamosh ho ke sunta
jo junun-e-ishq hota mera feal-e-iKHtiyari
mai-e-ashiqi se tauba hai junun-e-parsai
kahin le na Dube waiz tujhe zoam-e-hoshiyari
na pahunch saka jahan tak kabhi pa-e-kibr-o-danish
wahin 'jurm' le gai hai mujhe meri KHaksari
(743) Peoples Rate This