Dikhawe Ke Liye Elan-e-faiz-e-am Hota Hai
dikhawe ke liye elan-e-faiz-e-am hota hai
magar ek KHas hi halqa mein daur-e-jam hota hai
moarriKH yun jagah deta nahin tariKH-e-alam mein
baDi qurbaniyon ke baad paida nam hota hai
usi ko sochna paDti hain tadbiren rihai ki
jo tair jurm-e-azadi mein zer-e-dam hota hai
habab-e-bahr ki surat ubharne ki zarurat kya
numud-e-be-mahal ka jab bura anjam hota hai
koi sarshaar ho jae koi ek bund ko tarse
inhin baaton se saqi mai-kada badnam hota hai
kahin sabze ko raunda ja raha hai lahlahane par
kahin phulon ka rang-o-bu pe qatl-e-am hota hai
zaban kyun kholte ho jurm ye duniya hai ulfat ki
ishaaron hi ishaaron mein yahan sab kaam hota hai
(1180) Peoples Rate This